Ahsan Ahmad Ashk

sham se ta-ba-sahar kitne sitare TuTe

Ahsan Ahmad Ashk

kitnī zau-pāsh umīdoñ ke sahāre chhoTe

chāñd ik mast sharābī kī tarah vārafta
kohar kī dhuñd meñ chaltā rahā girtā paḌtā
dasht-e-tanhā.ī meñ uThte rahe ḳhush-rañg sarāb
rañg kī lahroñ pe khilte rahe nasrīn-o-gulāb
sarv ke saa.e meñ uljhe hue anfās ke raag
māzī-o-hāl ke sañgam pe chalāte rahe aag
pahle ik aag lagī aag phir ik yaad banī
yaad ashkoñ meñ nahā kar tire paikar meñ Dhalī
marmarīñ paikar-e-andāz ba-ḳhvāb-ālūda
jaise ḳhayyām kī taḳh.īl sharāb-ālūda
yak-ba-yak arsh se phir koī sitāra TuuTā
dil laraz uTThā ki ik aur sahārā TuuTā
terī zulfoñ kī tarah Dhal ke kamar tak pahuñchī
raat bal khātī huī bām-e-sahar tak pahuñchī
Top Urdushayar.com