kaif-e-jāñ nūr-e-basar yaad aayā
arsa-e-harf-o-hunar yaad aayā
dasht-e-imkān kī pahnā.ī meñ
ḳhaak bar-sar the ki ghar yaad aayā
luTte luTte bhī dil-e-mahzūñ ko
dard kā raḳht-e-safar yaad aayā
jab gañvā aa.e matā-e-hastī
tab hameñ jaañ kā zarar yaad aayā
bazm-e-jānāñ hī sahī bazm-e-ḳhayāl
dil kā sannāTā magar yaad aayā
shab-e-mahjūrī meñ hañgām-e-nazā.a
matl-e-nūr-e-sahar yaad aayā
phir bujhā diip koī palkoñ par
phir mujhe dīda-e-tar yaad aayā
kaun māñge hai shabistān-e-visāl
bas ik āshufta-nazar yaad aayā
phir huā dil meñ ḳhayāloñ kā hujūm
phir hameñ silk-e-guhar yaad aayā