tirī chashm-e-mai guuñ kā labrez sāġhar
javānī tirī kaif-āvar javānī
vo sāñsoñ kī tezī vo siine kī dhaḌkan
vo donoñ kā chhup-chhup ke aañsū bahānā
vo pās-e-adab vo ḳhulūs-e-mohabbat
vafūr-e-tamannā meñ ḳhāmosh rahnā
savāloñ kā tūmār mub.ham zabāñ meñ
magar rāz-e-dil kā na iz.hār karnā
tirī chashm-e-pur-nam vo mas.ūd saa.at
yaqīñ ban gayā jab gumān-e-mohabbat
vo chhiTkī huī chāñdnī kī bahāreñ
vo gul-posh rāteñ vo dilkash nazāre
vo tūfān-e-jazbāt-o-zor-e-tamannā
vo josh-e-mohabbat vo pur-shauq bāteñ
ma.āl-e-masarrat vo majbūr aañsū
vo kaif-e-tarb kā ġham-anjām honā
vo din tafraqa-ḳhez majbūriyoñ kā
fareb-e-muqaddar kī vo chīra-dastī