desoñ meñ sab se achchhā hindostān merā
rū-e-zamīñ pe jannat, jannat-nishān merā
vo pyārā pyārā manzar, vo mohnī fazā.eñ
vo ūñche ūñche parbat vo dil-fazā guphā.eñ
tīnoñ taraf samundar, chauthī taraf himāla
hai pāsbān is kaa, is kā banāne vaalā
ġhunchoñ kā vo chaTaknā, phūloñ kā vo mahaknā
panchhī pakheruoñ kā vo sub.h-dam chahaknā
dhīme suroñ meñ gañgā ye giit gā rahī hai
jamunā bhī apne muñh meñ ye gungunā rahī hai
gokul kā ik gvālā bansī bajā rahā hai
bansī kī lai meñ vo bhī ik giit gā rahā hai
duniyā ke saare meve is gulsitān meñ haiñ
sab nemateñ mayassar hindostān meñ haiñ
merā nishāñ yahī hai, merā jahāñ yahī hai
jannat mirī yahī hai, merā makāñ yahī hai