Arsh Malsiyani

bewa ki fariyaad

Arsh Malsiyani

Malsiyan, Punjab, India

1908-1979
kisī kī yaad dil meñ hai ki jis se jī niDhāl hai
kahūñ agar to kyā kahūñ ajab tarah kā haal hai
na vo zamīñ na vo falak na ab vo kā.enāt hai
vo zindagī hī ab nahīñ na din hai vo na raat hai
vo aarzū hai kaun sī jo aaj pā-ba-gil nahīñ
hai naam dil kā dil magar jo sach kahūñ to dil nahīñ
ghaTā uThī to hai magar papīhā aaj gaay kyā
taḌap mirī miTā.e kyā lagī mirī bujhā.e kyā
vo prem se bhare bachan ki jin se kān-āshnā
vo mast aañkh mad-bharī ki jis se jaan āshnā
vo baat baat par hañsī vo chheḌ pyaar pyaar meñ
qarār ik taḌap meñ vo taḌap vo ik qarār meñ
kabhī udhar se tāknā kabhī udhar se dekhnā
vo mere dil ke shauq ko mirī nazar se dekhnā
ġharaz vo din ki jab mire chaman meñ ik bahār thī
ġharaz vo din ki jab ḳhushī mire liye siñgār thī
ġharaz vo din ki naġhma-zan masarratoñ kā saaz thā
ġharaz vo din ki husn jab mirā nazar-navāz thā
ġharaz vo din ki jab se dil nishān ġham kā duur thā
ġharaz vo din ki aañkh meñ bharā huā surūr thā
ġharaz vo din ki maiñ bhī jab kisī ke dil kā naaz thī
ġharaz vo din niyāz ke ki jab maiñ be-niyāz thī
ġharaz vo din ḳhayāl thā ki ab na jā.eñge kabhī
chale ga.e kuchh is tarah ki phir na ā.eñge kabhī
ġhazab ye hai shabāb meñ mirā suhāg luT gayā
safar meñ thā jo ham-safar usī kā saath chhuT gayā
ye sach hai mujh ġharīb kā koī rafīq ab nahīñ
ye sach hai ġham-nasīb kā koī shafīq ab nahīñ
fuġhāñ meñ ab vo josh hai ki jis kī intihā nahīñ
jigar meñ ab vo dard hai ki jis kī kuchh davā nahīñ
ḳhayāl hai ḳhizāñ meñ bhī mujhe usī bahār kā
ġhazab hai chhoḌtā nahīñ fareb intizār kā
ajal kī ek shakl hai ye dard is balā kā hai
davā karūñ to kyā karūñ ki vaqt ab duā kā hai
mirī tarah na zindagī kisī kī yuuñ ajiib ho
nasīb maut ho agar to zindagī nasīb ho
Top Urdushayar.com