phir ḳhanda-e-gul kā shor huā
phir mausam-e-gul kā saaz bajā
phir shor-e-noshā-nosh uThā phir dhuum machā.ī holī ne
phir Dhol bajā phir rañg uḌā phir dhuum machā.ī holī ne
uḌte haiñ abiir gulāl yahāñ
chehre haiñ sabhoñ ke laal yahāñ
phir daftar-e-raqs-o-rañg khilā phir dhuum machā.ī holī ne
phir Dhol bajā phir rañg uḌā phir dhuum machā.ī holī ne
har naar akaḌtī tantī hai
bejā būjhe bantī hai
phir ġhaT ġhaT bhañg kā daur chalā phir dhuum machā.ī holī ne
phir Dhol bajā phir rañg uḌā phir dhuum machā.ī holī ne
ik dhīñgā-mushtī hotī hai
kuchh dañgā-kushtī hotī hai
ūdham sā hai galiyoñ meñ machā phir dhuum machā.ī holī ne
phir Dhol bajā phir rañg uḌā phir dhuum machā.ī holī ne
koī shor kare koī gaalī bake
lab itne chale chal kar na take
har chehra hai luthḌā luthḌā phir dhuum machā.ī holī ne
phir Dhol bajā phir rañg uḌā phir dhuum machā.ī holī ne
koī tolā hai koī māshā hai
kyā achchhā khel-tamāshā hai
naġhme kī rut naġhme kī fazā phir dhuum machā.ī holī ne
phir Dhol bajā phir rañg uḌā phir dhuum machā.ī holī ne
hai naach kī mahfil āñgan meñ
hai saaz khanaktā jhāñjhan meñ
tā-thayyā kī lagtī hai sadā phir dhuum machā.ī holī ne
phir Dhol bajā rañg uḌā phir dhuum machā.ī holī ne
haiñ naach meñ saare nar-nārī
hai haat meñ sab ke pichkārī
hai rāg-rañg ruup nayā phir dhuum machā.ī holī ne
phir Dhol bajā phir rañg uḌā phir dhuum machā.ī holī ne
holī kī jaltī aag ke din
ye rañg ke din ye raag ke din
mausam hai na khāne-pīne kā phir dhuum machā.ī holī ne
phir Dhol bajā phir rañg uḌā phir dhuum machā.ī holī ne