jis ḳhaak kī hai auj pe taqdīr yahī hai
jo radd-e-ġhulāmī kī hai iksīr yahī hai
ai 'arsh' tire ḳhvāb kī ta.abīr yahī hai
firdaus-e-zamīñ jannat-e-kashmīr yahī hai
is se nahīñ achchhā koī gulzār ise dekh
is se nahīñ baḌh kar koī shahkār ise dekh
fitrat ne jo khīñchī hai vo tasvīr yahī hai
firdaus-e-zamīñ jannat-e-kashmīr yahī hai
shirvānī-e-ma.asūm kī jāgīr na DhūñDo
shirvānī-e-mazlūm kī jāgīr na DhūñDo
shirvānī-e-marhūm kī jāgīr yahī hai
firdaus-e-zamīñ jannat-e-kashmīr yahī hai
gul-posh makāñ aur gul-andām makīñ bhī
kamyāb nahīñ husn zamāne meñ kahīñ bhī
jo ḳhāma-e-qudrat kī hai tahrīr yahī hai
firdaus-e-zamīñ jannat-e-kashmīr yahī hai
jis husn kā ushshāq sunāte haiñ fasāna
jis husn ke har naaz pe miTtā hai zamāna
us husn-e-jahāñ-tāb kī tanvīr yahī hai
firdaus-e-zamīñ jannat-e-kashmīr yahī hai
sarmāya-o-mehnat kā hai jo mas.ala-e-ḳhās
iflās-o-imārat kā hai jo mas.ala-e-ḳhās
is mas.ala-e-ḳhās kī tafsīr yahī hai
firdaus-e-zamīñ jannat-e-kashmīr yahī hai
ulfat ke payambar haiñ parastār isī ke
iḳhlās kī mai piite haiñ mai-ḳhvār isī ke
vābasta haiñ sab jis se vo zanjīr yahī hai
firdaus-e-zamīñ jannat-e-kashmīr yahī hai
sarmā.e ke beToñ kī huī ḳhuub dukāñ band
jāgīr-parastoñ pe huī rāh-e-amāñ band
kāTegī jo ye band vo shamshīr yahī hai
firdaus-e-zamīñ jannat-e-kashmīr yahī hai