Arsh Malsiyani

punjab

Arsh Malsiyani

Malsiyan, Punjab, India

1908-1979
zinda-dil punjab ke beTo tumheñ merā salām
tum parastār-e-gurū-nānak fidā-e-kirishn-o-rām
ye tumhārā des raaja drupd kā panchāl des
haañ vahī ranjīt-singh ke daur kā ḳhush-hāl des
nām-levā jin ke tum ho un kī sīrat be-misāl
un kī jur.at be-misāl un kī shujā.at be-misāl
is meñ sher-o-shā.erī hai is meñ raqs-o-rañg bhī
hiir vāris-shāh kī bhī hai rabāb-o-chañg bhī
vīr-singh aur amritā-pirītam yahāñ māhir yahāñ
'arsh' 'aḳhtar' 'josh' aur 'mahrūm' se shā.ir yahāñ
shīr-e-gul ke mū-qalam se ḳhāma-e-mānī ḳhajil
is kī tasvīroñ meñ hai betāb panjāban kā dil
lājpat-rā.e yahīñ jām-e-shahādat pī ga.e
jaane kitne qaum kī ḳhātir mare aur jī ga.e
sar-zamīn-e-hind kā ye bāzū-e-shamshīr-e-zan
jis ke mardān-e-jarī haiñ sho.ala-bār-o-saf-shikan
khetiyoñ meñ jis ke barakat jis ke khaliyānoñ meñ nuur
jis ke bāġhoñ meñ iram bas ke pahāḌoñ par hai tuur
jis ke mard-o-zan kā hissa-e-ḳhūb-rūī kā jalāl
jin ke chehroñ par chhiḌaktī hai tavānā.ī gulāl
bhākḌā-nañgal kī jis ne be-badal ta.amīr dī
apne farzandoñ ko jis ne ḳhūbī-e-tadbīr dī
jo masā.ib is ne jhele haiñ unheñ jhelegā kaun
khel jo himmat ke khele us ne vo khelegā kaun
zaḳhm jis ne apne siine par liyā taqsīm kā
chaak jis ne apne hāthoñ se siyā taqsīm kā
haañ usī ḳhush-vaqt ḳhāk-e-pāk ke beTe ho tum
meñ na mānūñgā ki aql-o-fahm ke heTe ho tum
maiñ na mānūñgā kudūrat fitrat-e-punjab hai
merā na.ara hai mohabbat fitrat-e-punjab hai
Top Urdushayar.com