Fareed Ishrati

fankar aur maut

Fareed Ishrati

jab mujhe ye ḳhayāl aatā hai
ek fankār mar nahīñ saktā
yaad aate haiñ mujh ko vo fankār
zindagī-bhar jo zahar pī ke jiye
aur is dahr ke nikammoñ ne
un kī rāhoñ meñ ḳhaar bikhrā.e
laakh rokā unheñ zamāne ne
chal diye jis taraf chalte rahe
aaj duniyā ke is añdhere meñ
jal rahe haiñ vahī charāġh jinheñ
ek fankār hai charāġh vahī
jis ko koī bujhā nahīñ saktā
ban ke fankār sochtā huuñ maiñ
apnī hastī ko jāvedāñ kar luuñ
maut aa.e to us se hañs ke kahūñ
maiñ huuñ fankār mar nahīñ saktā
Top Urdushayar.com