phir raat kī tārīk adā.eñ haiñ musallat
phir sub.h ke hāthoñ se hinā chhūT rahī hai
jo saaz kabhī vāqif-e-asrār-e-junūñ thā
us saaz kī rag rag se lahū phuuT rahā hai
taqdīr ko rote haiñ siyah-baḳht sitāre
āfāq pe zulmāt ne pheñkī haiñ kamandeñ
ḳhūñrez haqā.eq kī ghanī chhāñv meñ ab tak
doshīza-e-afkār kī zulfeñ haiñ pareshāñ
ab tak na bujhe dast-e-taġhayyur kī adā se
tasvīr-e-gulistāñ ko jhulaste hue sho.ale
is ālam-e-zulmāt kī pur-haul fazā meñ
ham apnī mohabbat kā lahū bech rahe haiñ
phir ālam-e-zulmāt meñ rotī hai zuleḳhā
kyā jāniye kis bhes meñ ḳhurshīd-e-sahar hai
phir ham se taqāzā hai tirī shoḳh-nazar kā
tārīkī-e-hālāt kī buniyād hilā deñ