Chandar Bhan Kaifi Dehelvi

hindi hindustani

Chandar Bhan Kaifi Dehelvi

sāf-suthrī zabān hindī hai
ḳhush-bayānī kī jaan hindī hai
hindiyoñ kā nishān hindī hai
auj meñ āsmān hindī hai
roz-marra jo bol-chāl kā hai
husn vo shoḳhī-e-ḳhayāl kā hai
us ke phūloñ kī tez hai ḳhushbū
har taraf mushk-rez hai ḳhushbū
vāqa.ī itr-bez hai ḳhushbū
ishrat-e-mauj-ḳhez hai ḳhushbū
shakl kaisī hasīn hai is kī
brij-bhāshā zamīn hai is kī
kyā milansār hai mizāj is kā
sulh-jūī hai kām-kāj is kā
saare sansār meñ hai raaj is kā
sikka baiThā huā hai aaj is kā
marhaTī kuchh hai kuchh hai punjabi
hai fasāhat meñ nutq-e-ā.arābī
fārsī kī sughaḌ sahelī hai
aur turkī ke saath khelī hai
jo pasand aa.ī chiiz le lī hai
chīstāñ hai kahīñ pahelī hai
lāl-qil.e meñ begmātī thī
saath shahzādiyoñ ke jaatī thī
des-bhar kī ye ek hai baanī
hindunī hai na ye musalmānī
bol sakte haiñ is ko īrānī
siikh sakte haiñ sab ba-āsānī
kuchh milī haiñ jo un se sauġhāteñ
leadiyoñ se haiñ rāt-din bāteñ
kis qadar bol-chāl hai saada
'sūr' 'tulsī' the is ke dil-dāda
kaif-zā hai ye sūrat-e-bāda
pī rahā thā 'kabīr' āzāda
'ras' 'bihārī' the gul-fishāñ is meñ
ab haiñ 'kaifī' se ḳhush-bayāñ is meñ
Top Urdushayar.com