Chandar Bhan Kaifi Dehelvi

ghaalib

Chandar Bhan Kaifi Dehelvi

'ġhālib' terā kalām navā-e-sarosh hai
ilhām-e-ġhaib-o-naġhma-e-sāz-e-ḳhamosh hai
aisā bharā huā hai ġhazal meñ siñgār-ras
ik jannat-e-samā.a hai firdaus-e-gosh hai
āsāñ nahīñ jamāl-e-ma.ānī kā dekhnā
har shāhid-e-ḳhayāl tirā pardā-posh hai
jo baat hai vo shoḳhī-e-guldasta-e-chaman
jo lafz hai bahār-e-kaf-e-gul-farsoh hai
mauj-e-ravāñ haiñ misra-e-be-sāḳhta tire
bahr-e-suḳhan meñ bahr-e-mohabbat kā josh hai
in motiyoñ kī qadr hai shāhoñ ke taaj meñ
parkhe nazar se un ko jo gauhar-farosh hai
kaif-e-suḳhan se mast huuñ terī ġhazal sunīñ
is bazm meñ jinheñ havas-e-nāv-nosh hai
tū ne chaman chaman meñ shagūfe khilā diye
fitrat tire kalām kī gulshan-ba-dosh hai
afsūñ-tarāziyāñ tirī muñh kī latī rahīñ
gul kī zabān band hai ġhuncha ḳhamosh hai
baalā terā maqām duniyā-e-sher meñ
'urfī' bhī ek banda-e-halqa-e-ba-gosh hai
duniyā tire ḳhayāl meñ hai chashma-e-sarāb
rañgīnī-e-nishāt-o-tarab ḳhvāb-e-dosh hai
terī nazar meñ shāhid-o-mash.hūd ek haiñ
duniyā-e-be-ḳhudī tujhe duniyā-e-hosh hai
daana tirī nigāh meñ thā ḳhirman-e-murād
tujh ko ḳhabar thī qatre meñ dariyā kā josh hai
dair-o-haram pe bhī nahīñ ye raaz munkashif
harf-e-azal hai kaun jo ma.anā-farosh hai
afsurda daaġh se hai tire mahfil-e-adab
ne vo surūr-o-soz na josh-o-ḳharosh hai
kitnī tire mazār pe chhā.ī hai bekasī
ik sham.a ashk-rez thī vo bhī ḳhamosh hai
chhalkī jo thī kabhī tire rañgīñ ayāġh se
'kaifī' usī sharāb kā ik jur.a-nosh hai
Top Urdushayar.com