jab ek hī chaman kī tum ho bahār donoñ
jab ek hī shajar ke ho barg-o-bār donoñ
jab ek hī qalam ke ho shāhkār donoñ
jab ek hī vatan ke ho iftiḳhār donoñ
aapas kī phuuT se ho kyuuñ dil-figār donoñ
haañ chhoḌ do ye ranjish ban jaao yaar donoñ
farzand ho haqīqī tum māder-e-vatan ke
parvān chaḌh rahe ho mevoñ se is chaman ke
yaksāñ haiñ jab qarīne raftār ke chalan ke
donoñ ho chāñd-sūraj is gardish-e-kuhan ke
muhtāj haiñ tumhāre lail-o-nahār donoñ
haañ chhoḌo ye ranjish ban jaao yaar donoñ
aapas kī barhamī se ġhairoñ kī hai ġhulāmī
kyuuñ ek dūsre se karte ho bad-kalāmī
ḳhvāb-o-ḳhayāl hai ik ab daur-e-shād-kāmī
barbādiyoñ kā baa.is takrār hai maqāmī
kar luuñ yagāngat ke qaul-o-qarār donoñ
haañ chhoḌ do ye ranjish ban jaao yaar donoñ
maz.hab-parastiyoñ ne dīvāna kar diyā hai
apnī briādrī se begāna kar diyā hai
barbād murġh-e-dil kā kāshāna kar diyā hai
ḳhālī mai-e-tarab se paimāna kar diyā hai
jab ek mai-kade ke ho bāda-ḳhvār donoñ
haañ chhoḌ do ye ranjish ban jaao yaar donoñ
rahne meñ kuchh hai 'kaifī' barbād ho ke rahnā
kyā gosha-e-qafas meñ nāshād ho ke rahnā
sīkho vatan meñ apne āzād ho ke rahnā
gulzār-e-ārzū meñ shamshād ho ke rahnā
bāheñ gale meñ Daalo be-iḳhtiyār donoñ
haañ chhoḌ do ye ranjish ban jaao yaar donoñ