Chandar Bhan Kaifi Dehelvi

nai-dehli

Chandar Bhan Kaifi Dehelvi

kyā rañg mire shahr kā gañgā-jamanī hai
dehlī na.ī ujḌī huī dehlī meñ banī hai
qabroñ kā pata hai na mazāroñ kā Thikānā
ye shahr kī ta.amīr hai yā gor-kanī hai
arbāb-e-mashāhīr kā lene ke liye naam
kuchh daur-e-guzishta kī bhī tārīḳh chhanī hai
'irvin' kā kahīñ but to clive kī kahīñ strēt
maidān meñ sabze se bahār-e-chamanī hai
rahte haiñ yahāñ shāhī dafātir ke mulāzim
jin ko na kuchh ehsās-e-ġharībul-vatanī hai
ā.ina-e-ḳhurshīd ko bhī kaaT kar rakh de
jo ḳhaak kā zarra hai vo hiire kī kanī hai
kyā kahte haiñ vo bekas-o-nāchār ki jin ko
is shahr ke basne se ġham-e-be-vatanī hai
khetī jo nahīñ bhiik pe hai in kā guzārā
hāthoñ meñ hī kashkol gale meñ kafnī hai
ye rañg bhī kuchh din meñ badal jā.egā 'kaifī'
kyuuñ ye na.ī-dehlī sabab-e-dil-shikanī hai
Top Urdushayar.com