Chandar Bhan Kaifi Dehelvi

nur-jahan

Chandar Bhan Kaifi Dehelvi

har jalva jahāñgīr thā jis vaqt javāñ thī
kahte haiñ jise nūr-jahāñ nūr-e-jahāñ thī
thā huur kā TukḌā but-e-tannāz kā mukhḌā
ik sham.a thī fānūs meñ jo nūr-fishāñ thī
andāz meñ shoḳhī meñ karishme meñ adā meñ
talvār thī barchhī thī kaTārī thī sināñ thī
ruḳhsār-e-jahāñ-tāb kī paḌtī thiiñ shuā.eñ
yā husn ke dariyā se koī mauj ravāñ thī
bijlī thī chamaktī huī dāmāñ-e-shafaq meñ
yā mauj-e-tabassum thī laboñ meñ jo nihāñ thī
gulzār-e-ma.ānī kī chahaktī huī bulbul
shā.ir thī suḳhan-sanj thī ejāz-e-bayāñ thī
betāb huā jaatā hai dil zikr se us ke
kyā pūchhte ho kaun thī vo aur kahāñ thī
duniyā-e-tadabbur meñ thī yaktā-e-zamāna
haath us ke the aur un meñ hukūmat kī inaañ thī
dastūr-e-adālat ke liye us kā qalam thā
farmān-e-re.āyā ke liye us kī zabāñ thī
vo sham-e-shab-afroz thī parvāna jahāñgīr
ye baat bhī donoñ kī mohabbat se ayaañ thī
lahore meñ dekhā use madfūñ tah-e-marqad
gard-e-kaf-e-pā jis kī kabhī kāhkashāñ thī
paivand-e-zamīñ ho ga.e ab kaun batā.e
'kaifī' ye jahāñgīr thā vo nūr-jahāñ thī
Top Urdushayar.com