Nazish Partap Gadhi

shahidon ko salam

Nazish Partap Gadhi

Pratapgarh, Uttar pradesh, India

1924-1984
saarī musībatoñ ko jo hañs hañs ke sah ga.e
dār-e-fanā meñ sirf vahī zinda rah ga.e
vo josh thā ki phāñd ga.e kohsār bhī
vo azm thā ki uTThe to tā-mehr-o-mah ga.e
sīnoñ meñ sabr-o-zabt kī vo tez aag thī
zulm-o-sitam ke koh-e-girāñ gal ke bah ga.e
tārīkiyoñ ko matla-e-anvār kah ga.e
zulm-o-sitam ko tāla-e-bedār kah ga.e
tā-umr yuuñ to mohr-ba-lab hī rahe magar
afsāna-e-bulandī-e-kirdār kah ga.e
aa.ī koī balā to lagāyā use gale
TuuTā koī sitam to use pyaar kah ga.e
kaḌkī kamāñ to us ko kiyā naġhma-e-hayāt
ḳhanjar kabhī chubhā to use ḳhaar kah ga.e
roke ga.e to aur baḌhī quvvat-e-amal
zaḳhmī hue to jism ko gulnār kah ga.e
tauq-o-rasan ko naam diyā zulf dost kā
zindāñ ko sāya-e-mizha-e-yār kah ga.e
husn-e-hayāt ke vo adā-āshnā ki jo
har qatl-gah ko misr kā bāzār kah ga.e
kis ān-bān ke vo shahīdān-e-qaum the
jo teġh ko bhī abrū-e-ḳhamdār kah ga.e
yādash-ba-ḳhair ḳhāk-e-vatan terī god meñ
kyā log the jo daar ko dildār kah ga.e
Top Urdushayar.com