manzar-o-marsiya-o-razm-o-sarāpā kyā kyā
na likhā mīr-anīs aap ne tanhā kyā kyā
nazm meñ hotī hai kirdār-nigārī kyuuñ kar
aap dikhlā ga.e ham logoñ ko rasta kyā kyā
aur jazbāt-nigārī kī taraf ruḳh jo kiyā
rakh diyā khīñch ke qirtās pe naqsha kyā kyā
aap kī lauñDī fasāhat bhī balāġhat bhī huī
roz-marra se kalām apnā sajāyā kyā kyā
marsiya-goī banī muqtadir ik sinf-e-suḳhan
ya.anī is fan ko milā aap se rutba kyā kyā
fan tasadduq huā vaarī gayā andāz-e-bayāñ
aap ne likkhe shahīdoñ ke sarāpā kyā kyā
kis kis andāz se tahrīr kiyā hāl-e-sitam
ġham kiyā aap ne shāh-e-shohdā kā kyā kyā
razm tahrīr kiyā yuuñ ki jahāñ kaañp uThā
marsiya likh ke zamāne ko rulāyā kyā kyā
jañg-e-abbās-e-dilāvar kā bayāñ paḌhte hue
sāmne āñkhoñ ke lahrātā hai dariyā kyā kyā
jaise ḳhud bhī rahe hoñ shāmil-e-fauj-e-shabbīr
haal is jañg kā duniyā ko sunāyā kyā kyā
sāhibo ye hai mire ghar kī zabāñ kahte hue
bazm ko aap ne baḳhshā hai ujālā kyā kyā
ālamī sher-o-adab meñ huī urdu bhī sharīk
aap ne zor-e-kalām apnā dikhāyā kyā kyā
mīr-anīs aap ke faizān-e-karam se ham ko
aa gayā nazm-nigārī kā salīqa kyā kyā
na huā par na huā 'mīr' kā andāz nasīb
'nāzish' aġhyār ne yuuñ zor to maarā kyā kyā