Waqif rae Barelvi

koi rahbar koi sathi koi apna na mila

Waqif rae Barelvi

meñ vo kashtī huuñ kabhī jis ko kinārā na milā
le liyā apnī javānī kā sahārā maiñ ne
ho ke majbūr jahannam ko basāyā maiñ ne
jab mujhe mandir-o-masjid meñ Thikānā na milā
koī samjhā na merī ruuh ko ḳhāmosh pukār
sab samajhte rahe chaltā ho sikka mujh ko
kheltī hai mirī rag rag se ye paapī duniyā
de ke kāġhaz ke khilaune mujhe bahlātī hai
merī āġhosh ko firdaus samajhne vaalo
tum ko ma.alūm hai kis tarah se maiñ jitnī huuñ
gandī naalī meñ use pheñk diyā jā.egā
vo kalī jo abhī ma.asūm hai be-parvā hai
kal kisī qaum ke ḳhādim ne sahārā na diyā
aaj kis muñh se ye kahte ho ki bad-kār huuñ maiñ
Top Urdushayar.com