ajnabī jaan ke ik shaḳhs ne yuuñ mujh se kahā
vo makāñ niim kā vo peḌ khaḌā hai jis meñ
vo makāñ jis ke dar-o-bām ka.ī sāloñ se
muntazir haiñ, koī mahtāb-sifat shahzāda
log kahte haiñ yahāñ raat ke sannāTe meñ
kuchh ajab tarah kī āvāzeñ huā kartī haiñ
ek āvāz ki ''tum ne to mujhe chāhā thā''
ek āvāz ki ''tum ahd-e-vafā bhuul ga.e''
log kahte haiñ ka.ī saal hue is ghar meñ
ḳhūb-sūrat sā koī shaḳhs rahā kartā thā
log kahte haiñ ki ik raat ke sannāTe meñ
ik parī aa.ī idhar taḳht-e-sulaimānī par
ajnabī jaan ke us shaḳhs ne yuuñ mujh se kahā
maiñ magar soch rahā thā ki koī pahchān na le