mujhe rangōn se jab dāvat-e-sher-o-suḳhan aa.ī
tabī.at fāsle aur vaqt ke chakkar se ghabrā.ī
karachi se piyā kī god meñ hindostāñ aayā
na.ī dehlī se kahne ko purānī dāstāñ aayā
vo aisī sarzamīñ hai jis meñ ahl-e-dil abhī tak haiñ
jo shaiḳh o barhaman urdu ke haiñ qābil abhī tak haiñ
uḌā dehlī se aur uḌ kar maiñ kalkatta meñ aa pahuñchā
thakā-hārā huā sāhil pe jaise nāḳhudā pahuñchā