imtihāñ sar par hai laḌke laḌkiyāñ haiñ aur kitāb
date-shēt aa.ī to goyā aa gayā yaum-ul-hisāb
vaqt raTne ke liye kam rah gayā zyāda hai kaam
saal bhar jin ko na dekhā vo ḳhulāse nek-nām
āj-kal bhūle hue haiñ sab election aur debate
practical kī copiyoñ ke āj-kal bharte haiñ peT
imtihāñ kā bhuut hai yā hai qayāmat kā samāñ
ammī aur abbā se chhup kar ro rahī haiñ laḌkiyāñ
haal par bachchoñ ke haiñ behad pareshāñ vāldain
saath meñ aulād ke un kā uḌā jaatā hai chain
raat bhar jāgeñge vo jo saal bhar sote rahe
kāTne jaate haiñ gandum garche jau bote rahe
jo savāl important aatā hai har ik baab meñ
ġhaur se dekhā hai us ko din-dahāḌe ḳhvāb meñ