Syed Mohammad Jafri

KHala mein bandar

Syed Mohammad Jafri

Bharatpur, Rajasthan, India

1905-1976
ek ''bono'' naam kā bandar gayā soū-e-ḳhalā
aadmī kā kaam hai bandar kā phañstā hai galā
gardish-e-daurāñ meñ aayā hai ye kaisā inqalāb
dekhte haiñ ab ḳhalā meñ baiTh kar bandar bhī ḳhvāb
ye to scientist hī jāneñ unhī ko hai ḳhabar
is ḳhalā ke ḳhvāb meñ bandar ko kyā aayā nazar
ḳhvāh chhoTī zaat kā bandar hai yā Dhabbūs hai
jis ne bhejā hai ḳhalā meñ us ko vo to ruus hai
duur se shāyad zamīñ ko DugDugī samjhā hai vo
nāchte rahne ko shāyad zindagī samjhā hai vo
Top Urdushayar.com