cigarette ne ye ik paan ke biiḌe se kahā
tū hamesha se parī-rūoñ ke jhurmuT meñ rahā
cigarette se jo sune paan ne ye talḳh suḳhan
bolā ḳhāmosh ki achchhā nahīñ hāsid kā chalan
is pe cigarette ne kahā paan se ye kyā hai sitam
chhāñv meñ paltā hai aur tū hai baḌā sabz qadam
paan bolā ki jalātā hai tū kyuuñ qalb-o-jigar
eshiyā.ī maiñ huuñ, maġhrib kā hai tū saudāgar
bolā cigarette ki bashar shikva-kunāñ haiñ tere
dar-o-dīvār pe paīkoñ ke nishāñ haiñ tere
paan kahne lagā cigarette se ki iblīs-e-laīñ
terī tambākū se jaatī hai badan meñ nicotine
jal ke ḳhud sab ko jilā denā tirā pesha hai
chhup ke baiThī hai ajal jis meñ tū vo besha hai
sulh in donoñ kī āḳhir meñ karā.ī maiñ ne
paan meñ Daal ke tambākū bhī khaa.ī maiñ ne