Syed Mohammad Jafri

main nashe mein hun

Syed Mohammad Jafri

Bharatpur, Rajasthan, India

1905-1976
haḌtāl karne se na Talo maiñ nashe meñ huuñ
ai ġhair-mulkiyoñ kī kalo maiñ nashe meñ huuñ
ghoḌe pe maiñ savār huuñ sunte ho paidalo
mujh par savār nashsha hai maiñ us ke huuñ jilau
is qaum kī falāh hai jām-o-subū ke bech
tum intiḳhāb jā ke laḌo hāv-hū ke biich
maiñ rahnumā-e-qaum huuñ, ye ho chukā hai tai
khātā rahā huuñ gāliyāñ maazī meñ pai-ba-pai
mujh par bhī vaqt aa ke paḌe haiñ yahāñ kaḌe
ye vo zamīñ hai jis pe gire haiñ baḌe baḌe
ye baat aql meñ bhī samātī nahīñ hai kuchh
shohrat to muft vote dilātī nahīñ hai kuchh
aayā hai vaqt aisā jo pahle na thā kabhī
dushvār rāsta bhī hai manzil hai duur abhī
badmast ho ga.e ho election meñ 'ja.afarī'
sar meñ nashe ke saath hai saudā-e-rahbarī
Top Urdushayar.com