ḳhāliq ne jab azal maiñ banāyā clerk ko
lauh o qalam kā jalva dikhāyā clerk ko
chaprāsī saath ḳhuld meñ jab le gayā use
hūroñ ne kuchh mazāq kiye kuchh malak hañse
jannat meñ fileñ haiñ na hai koī Diary
hūreñ to jāntī haiñ faqat tarz-e-dilbarī
ḳhuld-e-barīñ ko naaz thā apne makīn par
aur ye bhī the miTe hue ik hūr-e-īn par
rakkhā qadam clerk ne jis dam zamīn par
dekhā har ek chiiz hai qudrat ke diin par
ai secretariat kī imārat zarā batā
us vaqt jabki jaate haiñ afsar bhī baukhlā