kuchh intizār aur karo sabr-e-nāgavār aur karo
kuchh apne saroñ ko qalam garebāñ ko chaak aur karo
sub.h hone meñ vaqt hai yā sirf aisā lagtā hai
dard siine meñ uTh uTh ke nākāmiyoñ ko rotā hai
ye bhī mumkin hai ki fazā palaT na sake
sub.h jo hotī dikhtī hai kabhī bhī ho na sake
ham devtā kā daano kā farq bhuul chuke haiñ
kaḌī davā kā mīThe zahr kā farq bhuul chuke haiñ
uTho ki ḳhud ko pahchāno apnā hausla joḌo
ye salāḳheñ ye beḌiyāñ ye hathkaḌī toḌo
phir us ke baa'd sub.h ḳhud-ba-ḳhud tulūa hogī
ye duniyā tumhāre sāmne phir se nigūñ hogī