Firaq Gorakhpuri

jugnu

Firaq Gorakhpuri

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1896-1982
ye mast mast ghaTā, ye bharī bharī barsāt
tamām hadd-e-nazar tak ghulāvaToñ kā samāñ
ye shāḳh-sār ke jhūloñ meñ peñg paḌte hue
ye lākhoñ pattiyoñ kā nāchnā ye raqs-e-nabāt
rukī rukī sī safeñ malgajī ghaTāoñ kī
utaar par hai sar-e-sahn raqs pīpal kā
guzar rahe the mah-o-sāl aur mausam par
hamāre shahar meñ aatī thī ghir ke jab barsāt
sañvārā jis ne na mere jhanDūle bāloñ ko
basā sakī na jo hoñToñ se suune gāloñ ko
kabhī na khīñchā sharārat se jis kā āñchal bhī
rachā sakī mirī ā.ankhoñ meñ jo na kājal bhī
vo maañ ki āyat-e-rahmat hai jis kī chīn-e-jabīñ
vo maañ ki haañ se bhī hotī hai baḌh ke jis kī nahīñ
vo merī maañ maiñ kabhī jis kī piiTh par na chaḌhā
vo merī maañ kabhī kuchh jis ke kaan meñ na rakhā
ye soch soch ke āñkheñ mirī bhar aatī thiiñ
to jā ke suune bichhaune
Top Urdushayar.com