chhoTī sī hai baat samajh lenā 'farhān' zarūrī hai
dhartī se ākāsh talak ho utnā gyaan zarūrī hai
achchhe aur bure kī sohbat apnā rañg dikhātī hai
khoTe aur khare kī tum ko ho pahchān zarūrī hai
mil-jul kar rahnā hai jīvan mil-jul kar ham rahte haiñ
giitā ke shlok zarūrī haiñ qur.ān zarūrī hai
honī to ho kar rahtī hai lekin itnā yaad rahe
nanhe nanhe hoñToñ par khele muskān zarūrī hai
prem kī ḳhushbū chappe chappe meñ tum ko phailānā hai
sun lo merī aañkh ke taaro ye elaan zarūrī hai
ham ko apne desh kī ḳhātir jiinā hai mar jaanā hai
is duniyā ko rahnā hai to hindostān zarūrī hai