ham ko ab tak apne bachpan kā zamānā yaad hai
dostoñ ke saath bārish meñ nahānā yaad hai
yaad hai vo jhūmnā vo nāchnā vo kūdnā
vo lapaknā aur vo paanī uḌānā yaad hai
be-tahāsha bhīgnā be-fikr ho kar khelnā
aur phir sardī ke maare kapkapānā yaad hai
bhiig kar bīmār paḌnā aur bistar meñ paḌe
chupke chupke raat din aañsū bahānā yaad hai
bhāgnā rañgoñ ke pīchhe ghaas ke maidān meñ
titliyoñ ke shauq meñ vo maar khānā yaad hai
dhuup kī mānind hai ye zindagī 'tāriq' mujhe
dhuup ke dālān meñ vo aanā jaanā yaad hai