daadī kā pandān Thikāne lagā diyā
phir aaj is sharīr ne zamzam girā diyā
daadā ne āsmān kī jānib nigāh kī
godī meñ jam gayā to musallā uThā diyā
chalne lagā to saa.e farishtoñ ne kar diye
pariyoñ ne rāste meñ paroñ ko bichhā diyā
yuuñ hañs diyā ki jaise jazā baañT dī ga.ī
yuuñ lab-kushā huā ki gulistāñ banā diyā
sab iltijā.eñ us ke liye sirf ho ga.iiñ
rakh lī ḳhudā ne laaj diyā to sivā diyā