abr se ek din ye havā ne kahā
maiñ to peḌoñ se patte churā laa.ī huuñ
mujh meñ tāqat hai is se ye sābit huā
sāñvle ho salone ho chanchal ho tum
mast be-fikr āvāra bādal ho tum
aaj sūraj kī pagḌī uchhālo zarā
sun ke ye abr kī aql jaatī rahī
yuuñ hī is ko havā gudgudātī rahī
us ke aage kā dilchasp hai mājrā
abr kī aa.ī shāmat to sar ho ga.ī
būḌhe sūraj ko lekin ḳhabar ho ga.ī
paanī paanī vahīñ sharm se ho gayā