Ijtiba Rizvi

Tipu-sultan

Ijtiba Rizvi

Chhapra, Bihar, India

1908-1991
nazar se aaj jo guzrī haiñ chand tasvīreñ
vo dil pe naqsh haiñ jaise lahū kī tahrīreñ
basī hai jañg-e-sirañgā-paTām āñkhoñ meñ
kisī shahīd pe saaya kiye haiñ shamshīreñ
ġhulām qaum tujhe kuchh hayā bhī aatī hai
haiñ tere chāñd ye ḳhāk-afganī kī tadbīreñ
tirā charāġh sar-e-shām bujh gayā lekin
sahar ke bhes meñ phaileñgī us kī tanvīreñ
mire shahīd tire nā-e-pāk se qaumeñ
kareñgī āya-e-hubb-e-vatan kī tafsīreñ
payām-e-sa.ī-e-sar-afrāzī-e-vatan hai tū
shahīd-o-ġhāzī-o-jarrār-o-saf-shikan hai tū
siyāsat-e-vatanī kī fazā thī zahr-ālūd
havā-e-ġharb thī nā-sāzgār-o-nā-mas.ūd
sabāh-e-daulat-e-taimūriya kī aa.ī thī shaam
paḌā thā nayyar-e-iqbāl-e-hind sar-ba-sujūd
guloñ ko loriyāñ detā thā e'tibār-e-bahār
chaman meñ sabza-e-begāna pā rahā thā numūd
hai tere ba.ad tirī yaad iftiḳhār-e-vatan
tirā mazār hai sham-e-sar-e-mazār-e-vatan
pukārtī haiñ sirañgā-paTam kī dīvāreñ
ki ham ko yaad haiñ vo goliyoñ kī bauchhāreñ
dahan kushāda haiñ choToñ ke ghaav kyā ma.alūm
ye kab hamīyat-e-hubb-e-vatan ko lālkāreñ
shahīd-e-zinda-e-jāved haiñ vahī sāvañt
jo nām-e-pāk-e-vatan par laḌeñ mareñ māreñ
is ek jān-e-girāmī pe laakh jaañ sadqe
is ek maut pe sau umr-e-jāvedāñ sadqe
Top Urdushayar.com