Zahid Dar

faqat maut mujhe bhati hai

Zahid Dar

aise lagtā hai ki sahrā hai koī
duur tak phailī huī ret ko jab dekhtā huuñ
phir havā vaqt ke hāthoñ meñ hai talvār kī mānind ravāñ
phir sulagtā huuñ faqat maut mujhe bhātī hai
dil mirā aaj bhī afsurda udaas
dil badaltā hī nahīñ
aur patjhaḌ meñ bikharte hue pattoñ kī tarah
log hī log haiñ jis or nazar jaatī hai
garche ye ḳhauf ki dīvāna kahegī duniyā
garche ye Dar ki maiñ sach-much hī na pāgal ho jā.ūñ
duur jaate hue lamhoñ kī sadā
gāliyāñ mujh ko diye jaatī hai
is se pahle bhī junūñ thā lekin
ab ke is taur se bikhre haiñ havās
Top Urdushayar.com