Nazeer Banarasi

ganga ke kinare

Nazeer Banarasi

Banaras, Uttar pradesh, India

1909-1996
tā-hadd-e-nazar jab nazroñ meñ jannat ke nazāre hote the
bātoñ meñ kinā.e hote the nazroñ meñ ishāre hote the
vo raat kā sundar sannāTā chup sādhe hue jaise manzil
gañgā kī dhaḌaktī chhātī par armāñ ke diye jhilmil jhilmil
har mauj-e-ravāñ par lahrātī hañstī sī rupahlī ik dhārī
jaise kisī chanchal ke tan par lahrā.e banaras kī saarī
ashnān nigāheñ kartī thiiñ parkāsh kī chaḌhtī naddī meñ
ākāsh ke ubhre taare the Duube hue kaif-o-mastī meñ
mahtāb kī kirneñ jhuk jhuk kar kuchh jaal rupahlī buntī thiiñ
gañgā kī qasam maujeñ aa kar qadmoñ pe sar apnā dhuntī thiiñ
yuuñ raag sā chheḌe rahtā thā bahtā huā paanī kā dhārā
jaise koī jogī raat ga.e gaatā ho bajā kar ik taarā
armānoñ kī kaliyāñ khiltī thiiñ āshāoñ ke dīpak jalte the
badmast havāoñ ke jhoñke chalte hue pañkhā jhalte the
gañgā ke kināre aate the āzād tabī.at hotī thī
bebāk se ham tum rahte the bebāk mohabbat hotī thī
jaise ki 'nazīr' un rātoñ par qudrat bhī karam farmātī thī
bedār ḳhudā kar detā thā āñkhoñ meñ agar niiñd aatī thī
Top Urdushayar.com