Nazeer Banarasi

dipawli

Nazeer Banarasi

Banaras, Uttar pradesh, India

1909-1996
mirī sāñsoñ ko giit aur aatmā ko saaz detī hai
ye dīvālī hai sab ko jiine kā andāz detī hai
simaTtā hai añdherā paañv phailātī hai dīvālī
hañsā.e jaatī hai rajnī hañse jaatī hai dīvālī
qatāreñ dekhtā huuñ chalte-phirte māh-pāroñ kī
ghaTā.eñ āñchaloñ kī aur barkhā hai sitāroñ kī
nigāhoñ kā muqaddar aa ke chamkātī hai dīvālī
pahan kar dīp-mālā naaz farmātī hai dīvālī
ujāle kā zamāna hai ujāle kī javānī hai
ye hañstī jagmagātī raat sab rātoñ kī raanī hai
vo jīvan aaj kī raat aa ke barsātī hai dīvālī
pasīna maut ke māthe pe chhalkātī hai dīvālī
sabhī ke diip sundar haiñ hamāre kyā tumhāre kyā
ujālā har taraf hai is kināre us kināre kyā
hazāroñ saal guzre phir bhī jab aatī hai dīvālī
mahal ho chāhe kuTiyā sab pe chhā jaatī hai dīvālī
isī din darupadī ne krishn ko bhaa.ī banāyā thā
vachan ke dene vaale ne vachan apnā nibhāyā thā
ka.ī itihās ko ek saath dohrātī hai dīvālī
mohabbat par vijay ke phuul barsātī hai dīvālī
gale meñ haar phūloñ kā charan meñ dīp-mālā.eñ
mukuT sar par hai mukh par zindagī kī rūp-rekhā.eñ
ajab andāz se rah rah ke muskātī hai dīvālī
mohabbat kī lahar nas nas meñ dauḌātī hai dīvālī
tumhārā huuñ tum apnī baat mujh se kyuuñ chhupāte ho
mujhe ma.alūm hai jis ke liye chakkar lagāte ho
na jaao aise meñ bāhar 'nazīr' aatī hai dīvālī
ye kāshī hai yahīñ to rañg dikhlātī hai dīvālī
Top Urdushayar.com