agar aaj bhī bolī-Tholī na hogī
to holī Thikāne kī holī na hogī
baḌī gāliyāñ degā phāgun kā mausam
agar aaj ThaTThā ThiTholī na hogī
vo kholeñge āvāra mausam ke jhoñke
jo khiḌkī sharāfat ne kholī na hogī
hai holī kā din kam se kam dopahar tak
kisī ke Thikāne kī bolī na hogī
abhī se na chakkar lagā mast bhañvre
kalī ne abhī aañkh kholī na hogī
ye boTī parī ban ke uḌne lagegī
zarā gholiye phir se gholī na hogī
isī jeb meñ hogī fitne kī puḌiyā
zarā phir TaTolo TaTolī na hogī
'nazīr' aaj ā.eñge milne yaqīnan
na aa.e to aaj un kī holī na hogī