bint-e-havvā huuñ maiñ aurat hai mirā ism-e-sharīf
hai ye pahchān mirī aur yahī hai tārīf
mujh ko hai faḳhr ki us qaum se nisbat hai mirī
fātima mariyam-o-sītā sī haiñ rahbar jis kī
maiñ bhī ashraf huuñ nigāhoñ meñ ḳhudā kī mere
merī to god meñ khele haiñ masīhā kitne
kitne valiyoñ ne mire haath kī roTī khaa.ī
kitne shāhoñ ne mire paañv meñ jannat paa.ī
maiñ hī patthar ke makānoñ ko banātī ghar huuñ
maiñ hī duniyā-e-mohabbat kā hasīñ mehvar huuñ
mere ausāf gināne ko ye kāġhaz kam haiñ
sinf-e-nāzuk huuñ magar ruuh mirī rustam hai
maiñ ne jazboñ kā tasadduq va bharam rakkhā hai
merī hī zaat se mansūb har ik rishta hai
maañ bahan huuñ kabhī biivī to kabhī beTī huuñ
koī kirdār ho mardoñ se vafā kartī huuñ
haañ magar shart-e-vafā ye hai ki pā.ūñ bhī vafā
maiñ bhī insān huuñ kamtar nahīñ rutba merā
aur rishtoñ se alag bhī hai mirī ik hastī
jo faqat ghar meñ hī mahdūd nahīñ rah saktī
ġhuncha-o-gul se bhī kab chāhiye tashbīh mujhe
husn-e-sīrat se mire dījiye tarjīh mujhe
merī zulfoñ mire kājal kī na bāteñ kariye
kuchh mire zauq-o-zehānat ko bhī achchhā kahiye
haisiyat ho nahīñ saktī nazar-andāz mirī
rok saktā nahīñ ab koī bhī parvāz mirī
āsmāñ kyā hai ḳhalā tak hai rasā.ī merī
azm de saktā hai ḳhud baḌh ke gavāhī merī
be-nazīr indarā aur kalpanā aur hiir huuñ maiñ
apne har ḳhvāb kī ab jāgtī ta.abīr huuñ maiñ
merā hargiz nahīñ kahnā mujhe bartar samjheñ
mard hazrāt mujhe sirf barābar samjheñ
maiñ chalūñ shāna-ba-shāna to burā mat māneñ
merī hurmat merī azmat ko zarā pahchāneñ
bint-e-havvā huuñ 'hinā' baat baḌī hai merī
naam aurat hai mirā zaat baḌī hai merī