har ek jism mirā hai, har ek jaan mirī
ye ḳhāl-o-ḳhad mire apne, ye ān-bān mirī
hazār-hā mirī peshāniyoñ ke chāñd bujhe
hazār-hā mire lab ham-kanār-e-zahr hue
jahāñ pe aag lagī hai, vahāñ khilaune the
jahāñ pe ḳhaak uḌī hai, vahāñ pe jhūle the
sitam to ye hai ki mazlūm maiñ huuñ, zālim maiñ
har ek zaḳhm mujhī se hisāb māñgegā!