Ishrat Afreen

meinopause

Ishrat Afreen

Karachi, Sindh, Pakistan

1956
ajiib sī ittilā.a thī vo
jise maiñ ḳhud se na jaane kab se chhupā rahī thī
ajiib dukh thā
ki jis kā ehsās jāgte hī
ajab ḳhabar thī
jise mirā dil qubūl karne se munharif thā
qarīb-tar hai ki ḳhushk ho jā.eñge vo sote
ki jin kī tah meñ
yahāñ se umr-e-gurez-pā jo nikal paḌī aur rāste par
to sochtī huuñ ki jaate jaate
to phir mire
aur mere mahram ke beach tafrīq kā sabab kyā
ai mere sattār-o-kīmiyā-gar
ye roz-o-shab kā azaab tanhā mire liye kyoñ
Top Urdushayar.com