Ishrat Afreen

agle janam mohe biTiya hi kijo

Ishrat Afreen

Karachi, Sindh, Pakistan

1956
mirī biTiyā
tujhe bhī maiñ ne janmā thā usī dukh se
mire tan ke har ik dukh-sukh meñ tum donoñ kā hissa
ek jaisā mādar-e-fitrat ne rakkhā thā
tujhe mujh se shikāyat hai
ki maiñ ne pyaar kī taqsīm meñ tafrīq bartī hai
tujhe ye jaan kar hairat to hogī
mire hisse kā aksar tar-nivāla bhā.iyoñ hī ko milā kartā
mirī jaañ rizq kī taqsīm meñ
tafrīq kā qānūn to sadiyoñ purānā hai
to kyā tārīḳh ḳhud ko yūñhī dohrātī rahegī
nahīñ aisā nahīñ hogā
ye terī jur.at-e-iz.hār ye biphrā huā lahja
yaqīñ mujh ko dilāte haiñ
Top Urdushayar.com