bhārat pyārā desh hamārā sab deshoñ se nyārā hai
har rut har ik mausam is kā kaisā pyārā pyārā hai
saare jag ke pahāḌoñ meñ be-misl pahāḌ himāla hai
parbat sab se ūñchā hai ye parbat sab se nirālā hai
gañgā-jī kī pyārī lahreñ giit sunātī jaatī haiñ
sadiyoñ kī tahzīb hamārī yaad dilātī jaatī haiñ
hare-bhare haiñ khet hamāre duniyā ko an dete haiñ
chāñdī sone kī kānoñ se ham jag ko dhan dete haiñ
'krishn' kī bansī ne phūñkī hai ruuh hamārī jānoñ meñ
'gautam' kī āvāz basī hai mahloñ meñ maidānoñ meñ
maz.hab kuchh ho hindī haiñ ham saare bhaa.ī bhaa.ī haiñ
hindū haiñ yā muslim haiñ yā sikh haiñ yā īsā.ī haiñ