Ishrat Afreen

raqs

Ishrat Afreen

Karachi, Sindh, Pakistan

1956
sukūt khulne lagā hai
tanhā.ī chahchahātī hai bām-o-dar par
safed aur surḳh pattharoñ kā makān ab
mom ban ke mujh par Tapak rahā hai pighal rahā hai
tamām ādarsh jal rahe haiñ
aur in ke sho.aloñ kī raushnī meñ
ye sard dālān
is se aage ġhulām-gardish
ye kaun sāzoñ pe haath rakkhe
lahū ke aañsū hasīn poroñ se ro rahā hai
aur us ke pīchhe
vo duur ḳhalvat meñ ruuh kis kī taras rahī hai
yahī vo aurat hai
jis kī āñkhoñ ko chūmne kī sitāre hasrat kareñ to ro.eñ
baḌe ahāte ke is kuñ.eñ meñ
ye nāznīnoñ kī kaisī chīḳheñ haiñ
ye kaun DevḌhī meñ khāñstā hai

ye kaun bhūkā nahīf bachcha anaaj kī koThiyoñ ke aage
abhī abhī ro ke so gayā hai
ye sar ko niyoḌhā.e kaun laḌkī
udhar añdhere meñ ro rahī hai
ye ek goshe meñ kaun būḌhā
lahū meñ tar āstīñ chhupā.e
ki mere aabā kī sabz miTTī kā shāḳhsāna
pas-e-darīcha khulā huā hai
yahī makāñ haiñ
haveliyāñ haiñ
Top Urdushayar.com