Ishrat Afreen

ek ghair aham fard ke liye

Ishrat Afreen

Karachi, Sindh, Pakistan

1956

maasī dahī bilonā

ḳhālī naañd baasī ḳhushbū

mailī oḌhnī aur sutlī ke jhūle meñ soyā huā potā jaag uThā hai

aur apne maḳhsūs raag meñ

gahrī niiñd meñ soī huī tumhārī nuuñ

jaag uThī to chillā.egī

chhappar par phailī huī torī beloñ meñ

batiyā aanī shurūa huī hai

dekho sūraj

kachchī dīvāroñ ke pīchhe jhāñk rahā hai

thoḌī dhuup utar aa.ī hai

aadhī chatā.ī kal bin thī

puurī dhuup utar aa.ī hai

kāñTe chunñe īñdhan laane jañgal bhī to jaanā hai

bakrī pevsī jo raat jamā.ī thī

vo beTī ke ghar kab bhejogī

maasī tumhāre hoñT bhiñche hue kyoñ haiñ

khokhle siine pople muñh dhoñknī āḳhir band hai kyoñ

ḳhufiya jeb nichlī tah meñ

chhipī huī ik umr pūñjī

maasī ab uTh jaao

maasī dahī bilonā

Top Urdushayar.com