Shahnaz Parveen Shazi

man tere jaane ke baad

Shahnaz Parveen Shazi

Pakistan

1956
bujh gayā raushan saverā maañ tire jaane ke baa'd
chhā gayā har sū añdherā maañ tire jaane ke baa'd
kis ke chehre meñ talāshūñ tere chehre kī jhalak
kis ke āñchal meñ milegī terī mamtā kī mahak
phone par kis ko sunā.ūñgī maiñ apnā hāl-e-zār
kis kī bāteñ sun ke aa.egā mire dil ko qarār
kaun ab mere liye dast-e-duā phailā.egā
kis tarah āfāt kā sadqa utārā jā.egā
ai karachi ye batā ab kis se milne ā.ūñgī
kis kī bāñhoñ meñ simaT kar chain o sukh maiñ pā.ūñgī
tū to bāġh-e-ḳhuld meñ mehmān-e-yazdāñ ho ga.ī
aur yahāñ par merī duniyā pal meñ vīrāñ ho ga.ī
maġhfirat kī tujh pe maulā ab farāvānī kare
jannat-ul-firdaus meñ bhī rahmat arzānī kare
Top Urdushayar.com