raat kitnī sāhir hai
gard se aTe chehre
din kā shor kānoñ se
phīke manzar āñkhoñ se
muzmahil thake-māñde
laḌkhaḌāte jismoñ ko
raat kitnī māhir hai
jabr aur mashaqqat kī
be-sukūn zehnoñ ko
loriyāñ sunāne meñ
raat kitnī behis hai
us kī āstīnoñ meñ
raat jaise bahrī hai
siskiyāñ nahīñ suntī