Sahir Ludhianvi

mere ahd ke hasino

Sahir Ludhianvi

Ludhiana, Punjab, India

1921-1980
vo sitāre jin kī ḳhātir ka.ī be-qarār sadiyāñ
mirī tīra-baḳht duniyā meñ sitāra-vār jāgīñ
kabhī rif.atoñ pe lapkīñ kabhī vus.atoñ se uljhīñ
kabhī sogvār so.eñ kabhī naġhma-bār jāgīñ
vo buland-bām taare vo falak-maqām taare
vo nishān de ke apnā rahe be-nishāñ hamesha
vo hasīñ vo nūr-zāde vo ḳhalā ke shāhzāde
jo hamārī qismatoñ par rahe hukmarāñ hamesha
jinheñ muzmahil diloñ ne abadī panāh jaanā
thake-hāre qāfiloñ ne jinheñ ḳhizr-e-rāh jaanā
jinheñ kam-sinoñ ne chāhā ki lapak ke pyaar kar leñ
jinheñ mahvashoñ ne māñgā ki gale kā haar kar leñ
jinheñ āshiqoñ ne chāhā ki falak se toḌ laa.eñ
kisī raah meñ bichhā.eñ kisī sej par sajā.eñ
jinheñ but-garoñ ne chāhā ki sanam banā ke pūjeñ
ye jo duur ke hasīñ haiñ unheñ paas lā ke pūjeñ
jinheñ mutriboñ ne chāhā ki sadāoñ meñ piro leñ
jinheñ shā.iroñ ne chāhā ki ḳhayāl meñ samo leñ
ho hazār koshishoñ par bhī shumār meñ na aa.e
kabhī ḳhāk-e-be-bizā.at ke dayār meñ na aa.e
jo hamārī dastaras se rahe duur duur ab tak
hameñ dekhte rahe haiñ jo ba-sad ġhurūr ab tak
mire ahd ke hasīno vo nazar-navāz taare
mirā daur-e-ishq-parvar tumheñ nazr de rahā hai
vo junūñ jo āb-o-ātish ko asiir kar chukā thā
vo ḳhalā kī vus.atoñ se bhī ḳhirāj le rahā hai
mire saath rahne vaalo mire ba.ad aane vaalo
mere daur kā ye tohfa tumheñ sāzgār aa.e
kabhī tum ḳhalā se guzro kisī sīm-tan kī ḳhātir
kabhī tum ko dil meñ rakh kar koī gul-azār aa.e
Top Urdushayar.com