jahān-e-kohna ke maflūj falsafa-dāno
nizām-e-nau ke taqāze savāl karte haiñ
ye shāhrāheñ isī vāste banī thiiñ kyā
ki in pe des kī jantā sisak sisak ke mare
zamīñ ne kyā isī kāran anaaj uglā thā
ki nasl-e-ādam-o-havvā bilak bilak ke mare
mileñ isī liye resham ke Dher buntī haiñ
ki duḳhtarān-e-vatan taar taar ko tarseñ
chaman ko is liye maalī ne ḳhuuñ se sīñchā thā
ki us kī apnī nigāheñ bahār ko tarseñ
zamīñ kī quvvat-e-taḳhlīq ke ḳhudā-vando
miloñ ke muntazimoñ saltanat ke farzando
pachās laakh fasurda gale-saḌe Dhāñche
nizām-e-zar ke ḳhilāf ehtijāj karte haiñ
ḳhamosh hoñToñ se dam toḌtī nigāhoñ se
bashar bashar ke ḳhilāf ehtijāj karte haiñ