kārgar ho ga.ī ahbāb kī tadbīr ab ke
maañg lī aap hī dīvāne ne zanjīr ab ke
jis ne har daam meñ aane meñ takalluf bartā
le uḌī hai use zulf-e-girah-gīr ab ke
jo sadā husn kī aqlīm meñ mumtāz rahe
dil ke ā.īne meñ utrī hai vo tasvīr ab ke
ḳhvāb hī ḳhvāb javānī kā muqaddar the kabhī
ḳhvāb se baḌh ke gale mil ga.ī ta.abīr ab ke
ajnabī ḳhush hue apnoñ ne duā.eñ māñgīñ
is salīqe se sañvārī ga.ī taqdīr ab ke
yaar kā jashn hai aur pyaar kā tohfa haiñ ye sher
ḳhud-ba-ḳhud ek duā ban ga.ī tahrīr ab ke