Sahir Ludhianvi

tarah-e-nau

Sahir Ludhianvi

Ludhiana, Punjab, India

1921-1980
sa.ī-e-baqā-e-shaukat-e-askandarī kī ḳhair
māhaul-e-ḳhisht-bār meñ shīshagarī kī ḳhair
bezār hai kunisht-o-kalīsā se ik jahāñ
saudāgarān-e-dīn kī saudāgarī kī ḳhair
fāqa-kashoñ ke ḳhuun meñ hai josh-e-intiqām
sarmāya ke fareb jahāñ-parvarī kī ḳhair
tabqāt mubtazil meñ hai tanzīm kī numūd
shāhanshahoñ ke zābta-e-ḳhud-sarī kī ḳhair
ehsās baḌh rahā hai huqūq-e-hayāt kā
paidā.eshī huqūq sitam-parvarī kī ḳhair
iblīs ḳhanda-zan hai mazāhib kī laash par
paiġhambarān-e-dahr kī paiġhambarī kī ḳhair
sehn-e-jahāñ meñ raqs-kunāñ haiñ tabāhiyāñ
āqā-e-hast-o-būd kī san.at-garī kī ḳhair
sho.ale lapak rahe haiñ jahannam kī god se
bāġh-e-jināñ meñ jalva-e-hūr-o-parī kī ḳhair
insāñ ulaT rahā hai ruḳh-e-zīst se naqāb
maz.hab ke ehtimām fusūñ-parvarī kī ḳhair
ilhād kar rahā hai murattab jahān-e-nau
dair-o-haram ke hīla-e-ġhārat-garī kī ḳhair
Top Urdushayar.com