des ke adbār kī bāteñ kareñ
ajnabī sarkār kī bāteñ kareñ
aglī duniyā ke fasāne chhoḌ kar
us jahannam-zār kī bāteñ kareñ
ho chuke ausāf parde ke bayāñ
shāhid-e-bāzār kī bāteñ kareñ
dahr ke hālāt kī bāteñ kareñ
is musalsal raat kī bāteñ kareñ
mann-o-salvā kā zamāna jā chukā
bhuuk aur āfāt kī bāteñ kareñ
aao parkheñ diin ke auhām ko
ilm-e-maujūdāt kī bāteñ kareñ
jābir-o-majbūr kī bāteñ kareñ
us kuhan dastūr kī bāteñ kareñ
tāj-e-shāhī ke qasīde ho chuke
fāqa-kash jamhūr kī bāteñ kareñ
girne vaale qasr kī tausīf kyā
tesha-e-mazdūr kī bāteñ kareñ